Ravindra Shekhawat Blog Ravishekhawat.blogspot.com Ravindra Singh BlogRavindra Blog....................!!: April 2011Please Follow Ravindra Singh

Pages

Friday, April 22, 2011

Very Nice SMS


 
  
 
Kbhi us ko nazr andaz na kro,
Jo tmhari boht parwah krta ho,
Warna kisi din tumhen Ehsas hoga,
k Pathar jamaa krte krte.. tumne heera ganwa dia..!!  
 
Chahte he jinhe chaht se jyada, 
Wo hamari chahat samjhte nahi,
Dil me basi he surat jinki,
Unko bhulaker bhul sakte nahi hum.
 
 


Monday, April 18, 2011

Dard dene wale bhut milte hai





 
Dosti karna itna asan hai, 
Jaise mitti par mitti se mitti likhna,
Lakin dosti nibhana itna muskil hai, 
Jaise paani par panni se panni likhna.......


Apni To Zindgi Ki Ajeeb Kahani He,
Jis Chiz Ko Chaha Vo Begani He,
Haste Hain To Sirf Duniya K Liye,
Varna In Aankhon Me Pani Hi Pani Hai…

Jab hum is duniya se chale jayenge,
mat sochna aapko hum aapko bhul jayenge,
Ek bar tarro k taraf dekh kar muskura dena ,
hum tut kar aap ki har khwaish puri kar jayenge.....


Chahne se har baat nahi hoti,
Thode se andhere se raat nahi hoti,
Jinhe ham jaan se jyada chahte hai,
Unse har roz mulaqat nahi hoti….



Dard dene wale bhut milte hai,
Magar dard lene wale kam milte hai,
Naazuk waqt mai hame yaad karna,
Kyunki zindagi mai dil se chahne wale kam milte hai….



Teri dosti ne dard sehna sikha diya,
Meri rooh ko jeena sikha diya,
Tu kya jaane kya hai tera sath,
Tere sath ne mere aanshuo ko muskurana sikha diya….



Dil tut jata hai par khanak nahi hoti,
Har dhadkan roti hai par palak nahi roti,
Mohabbat naam hai khuda ki bandagi ka,
Jo sharto par mile wo mohabbat nahi hoti….



Bhagwan de ke bhi aajmata hai,
Le ke bhi aajmata hai,
Garib roti hasil karne ke liye doadta hai,
Amir roti pachane ke liye bhagta hai…..



Jab haqikat hai ki har jarre mai tu rehta hai,
Fir zamin par kahi masjid kahi mandir kyu hai…..



Dil lagana agar hota asaan,
To na hote yu aashiq pareshan,
Sirf dil hi nahi lut ta isqe mai yaaro,
Loot jate hai Roti, Kapda or Makaan…..



Kisi ka hath thamo to chodna nahi,
Waada kisi se karo to todna nahi,
Koi bhale hi thode dil tumhara,
Agar tum ho sache to uska sath chodna nahi….



Ham auro ko apna bnane mai reh gaye,
Sabke dukho ko mitane mai reh gaye,
Meri manzil samne se aai or chali gai,
Aur ham dusro ko manzil dhikhane mai reh gaye…..



Wo halato ke aage darr gaye,
Pyaar apna khud hi ruswa kar gaye,
Bani thi manzil jo meri kasti ki,
Wo mujhko tufaano ke hawale kar gaue…..



Kaam karo aisa ki pehchan ban jaaye,
Har kadam aisa chalo ki nisaan ban jaaye,
Yaha zindagi to sab kaat lete hai,
Zindagi jiyu aise ke misaal ban jaaye….



Koi gila na koi sikwa rahe,
Ye aarzo hai ek silsila bane rahe,
Bas ek umeed hai aapse,
Khafa na hona agar ham khafa rahe…..



Aapki dhadkan se hai rista hamara,
Aapki saanso se hai nata hamara,
Bhool kar bhi kabhi bhool na jana,
Aapki yaado ke share hai jeena hamara….



Daga de jaaye use yaar nahi kehte,
Khusi na de use pyaar nahi bhar nahi kehte,
Bas ek baar dhadkta hai dil kisi ke liye,
Jo dubara ho use pyaar nahi kehte….



Insaan 2 cheezo se hamesha harta hai,
Ek waqt dusra pyaar,
Dono zindagi mai bhut khaas hote hai,
Waqt kisi ka nahi hota, Or pyaar har kisi ka nahi hota….


Kuch lamhe guzre unke sath,
Magar koi baat na ho saki,
Bewafa to ye taqder nikli,
Ke fir kabhi mulaqat na ho saki…



Kuch likh nahi paate kuch suna nahi paate,
Haal-E-Dil zubaan par la nahi paate,
Wo utar gaye hai dil ki gehraio mai,
Wo samjh nahi paate ham samjha nahi paate….



Roz aate hai chand sitare.
mahar koi khusi ka pegaam nahi aata,
Hame to intzaar hai zinka,
sayad unhe hamara khyaal nahi aata….



Mana ki kuch dilo mai nafrat hoti hai,
Par har dil mai koi hasrat hoti hai,
Insaan uske aage kyu majboor ho jata hai,
Jis se use bepanha mohbbat hoti hai….



Yaad rakhenge har mohbbat aapki,
Lehro ki tarha vo rawani aapki,
Ye jo apno ne hame apne dil mai jagha di hai,
Ye kismat hai meri or mehrawani aapki….



Dil tha aamir or muqdar gareeb tha,
Mil kar bichadna mera naseeb tha,
Chah kar bhi kuch kar na sake ham,
Dil bhi jalta raha or samundar bhi karib tha…..



Mazza aata hai kis apne ko satane mai,
Ruthe na koi to majja kya manane mai,
Ek dost se hi to khusi hai zara si,
Warna rakha kya hai is zindagi aur zamane mai….



Haqiqat ki raho mai sapne toot jate hai,
Mosam badle to phool bhi murjha jate hai,
Kabhi hame yaad bhi kiya karo ye dost,
Fir mat kehna apne kyu ruth jaate hai….



Dard jo tune diya wo gehra diya,
Karke waada tune mujhko bhoola diya,
Zhakham dene wale tera bhi shukriya,
Jo zindagi ka tune matlab samjha diya….



Zaam kadwa hai itna bhi nahi ke piya na jaaye,
Zindagi mai gum hai itna bhi nahi ke jiya na jaaye,
Maana sms par charge hai,
Lekin itna bhi nahi ke kiya na jaaye….



Pahle mohbbat mai main khata kar raha hu,
Kisi se wafa kar raha hu,
Wo thukraye to kya hua mere khuda,
Tuhi mila de Dua kar raha hu….



Pyaar ke bhandan kuch ajeeb hote hai,
Jitne nazuk utne hi majboot hote hai,
Utha lete hai jo kanto ko hatho mai,
phool bhi unhi ko naseeb hote hai…..



Is tarh hamari chaht ka imithihan mat lijiye,
Kyu ho khafa ye byaan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gai hai khata,
Yu yaad na karke sazza na dijiye…..



Har raat ek naam yaad aata hai,
Kabhi subha kabhi sham yaad aata hai,
Jab sochta hu karlu dusri mohbbat,
tab pahli mohbbat ka anjaam yaad aata hai…..



Isqe poora hi nahi sazza ke bagair,
Zindagi beiman hai wafa ke bagair,
Naaz karne wale apne husn pe ye sun le,
Ke khusbu bhi adhuri hai hawa ke bagair….



Ham lakh ache sahi log kharab kehte hai,
Bigda hua wo hamko nawaab kehte hai,
Hum to aise badnaam ho gaye hai ki,
Paani bhi piye to kog sharab khete hai….



Jo mil gaya use muqqdar samjho,
Khud ko waqt ka sikander samjho,
Kyu darte ho gum ke tufano se,
Sabko lehre or khud ko samunder samjho…..



Kafan na daalo mere chehre par,
Mujhe aadat hai muskurane ki,
Naa dafnao meri laash ko,
Mujhe abhi umeed hai uske aane ki…..



Bin unke zindagi mai koi khusi nahi,
Vo nahi to labo par aaj hasi nahi,
Naa samjhe vo agar to ham kya kare,
Is dil mai unke siva kisi or ko jagha nahi….



Kab dusro ka sath nibhate hai log,
Anshu ki tarh bichad jaate hai log,
Wo zamana or tha jab rote the auro ke gum mai,
Ab to apno ko rula ke muskurate hai log…..



Zindagi dosto mai mila karti hai,
Aur ye dost bhi ajeeb hote hai,
Dene par aaye to jaan de dede,
Lene par aaye to hassi tak chin lete hai….

Dusre ka kya pata kab dil tod de




Wo ajnabi hai Jaane kab chod de, 
Hawa ka kya pata jaane kab rukh mod de,
Ham to dusre ka dil khush rakhte hai,
Magar dusre ka kya pata kab dil tod de…..



Ek din mai bhi kafan odh jaunga,
Har ek rista zamane se tod jaunga,
Jitna jee chahe sata lo mujhko,
Ek din rota hua sabko chod jaunga….



Itna bhi talukat na banaye koi,
Aankh bhad aaye jab aankh chudaye koi,
Qurbaan kar denge jaan bhi apni,
Kuch dair tak sath to nibhaye koi….



Wo yaad nahi karte ham bhula nahi sakte,
Wo hasa nahi sakte ham rula nahi sakte,
Dosti itni khubsurat hai hamari,
Wo bata nahi sakte or ham jata nahi sakte….



Andhera mila hai to roshni bhi milegi,
Gum mila hai to khusi bhi milegi,
Rehta nahi ek sa mosam,
Anshu mila hai to hasi bhi milegi….



Badi gehrai se chaha hai tujhe,
Badi duan se paya hai tujhe,
Tujhe bhulane ki sochu bhi to kaise,
Kismat se lakiro ki churaya hai tujhe….



Tujhse doorii ka ehsas satane laga,
Tere sath guzra har lamha yaad aane laga,
Tujhe jitna bhulane ki kosish ki,
mere tu or dil ke pass aane laga tu….



Dard dene wale bhut milte hai,
Magar dard lene wale kam milte hai,
Nazuk waqt mai hame yaad karna,
Quanki zindagi mai dil se chahne wale kam milte hai….



Samunder ne ladki se pucha mohbbat ka sila kya hota hai,
To dusri taraf se kinara bola us se kya puchte ho,
Us aashiq se pucho jo mere pass bethkar rota hai…


Raat ko jab hamne aankh band ki to aap hame sabse khush nazar aaye,
ye tarika hai agara aapko khush dekhne ka,
To khuda kare ye aankhe sada ke liye band ho jaaye…



Jeene ki khawahish mai har roz marte hai,
Wo aaye na aaye ham to intzaar karte hai,
Jhooth hi sahi unka waada,
Ham sach maan kar aitbaar karte hai…



Dilon se khelne ka hunar hamko nahi aata,
Isliye isqe ki waazi ham haar gaye,
Meri zindagi se sayad unhe bhut pyaar tha,
Isliye mujhe zinda hi maar gaye….



Risto ki duniya mai aksar aisa hota hai,
Dil se inhe nibhane wala hi rota hai,
Jhukna pade to jhuk jana apno ke liye,
Kyunki har rista ek nazuk samjhota hota hai….



Aankho mai hazaro sapne sajaye hai,
Dil mai chahat ke deep jalaye hai,
Ea- khuda poora ho sapna un nighao ka,
jo is waqt hamare sms par nazar jamaye hai…



jhuta apnapan to har koi jatata hai,
Wo apna hi kya jo pal pal satata hai,
yakin na karna har kisi par,
Kyunki karib hai koi kitna ye waqt hi batata hai…



Mohbbat aur muat dono hi bin bulaye mehman hai,
kab aa jaye koi nahi janta,
Dono ka ek hi kaam hai,
Ek dil le jaati hai to dusri dhadkan….



teri judai ka gum ham she nahi sakte,
bhadi mehfil mai kuch keh nahi sakte,
Mere girte aanshu padh kar dekho,
vo bhi kahnege tere bina ham reh nahi sakte….



Waqt ki aanch mai pathar bhi pighal jaate hai,
Khusi ke lamhe gum mai badal jaate hai,
kuan karega hamko yaad,
Waqt ke sath sabke khayaal bhi badal jaate hai…



Honto par pyaar ka tarana rakhna,
Dil mai pyaar ka fasana rakhna,
Ham dilo jaan se chahte hai tumko,
Bas hame apne dil mai basa ke rakhna….



Kya pata hai mere darne ki,
Khwaahish hai unki yaad mai marne ki,
Unhe kyu itna yaad karta hai dil,
Jinhe fursat hi nahi hame yaad karne ki….



Unhone sath dene ka wada kiya tha,
Har dard baatne ka wada kiya tha,
Agar vo hame bhool kar khush hai to koi gum nahi,
Hamne bhi to unhe khush rakhne ka waada kiya tha….



Bhut kuch sikha jaati hai zindagi,
Hara kar rula jaati hai zindagi,
Jee sako utna jee lo,
Quanki bhut kuch baaki rehta hai or khatam ho jaati hai zindagi….



haqqiaqt pehchan lo bichad jaane se pahle,
Meri sun lo apni sunane se pahle,
ye soch lena hame bhool jane se pahle,
Bhut roti hai aankhe muskurane se pahle….



Hota kaise use gum hamari ruswai ka,
Jab farq pada nhi use hamari judai ka,
khamosi se saha hamne har gum,
To ilzaam laga diya hum par bewafai ka…..

Dekho ye kalyug ka daur aaj us Malik par faisle sunaaye ja rahe hai…

Bhaadi pathro se mandir banaye ja rahe hai,
Chuna mitti milakar masjid chunvaye ja rahe hai,
kehte hai sabhi ke faisle wo maalik karta hai,
Dekho ye kalyug ka daur aaj us Malik par faisle sunaaye ja rahe hai…


Tanha chod kar hamko hosla bhi dete ho,
Sans chin kar jeene ki dua bhi dete ho,
Ek taraf judai ka gum bhi jaari hai,
Aur muskurane ka mashwraa bhi dete ho….



Sab kuch hai mere pass par dil ki dawa nahi,
Door ho mujhse par mai khafa nahi,
Malum hai ab bhi tum chahti ho mujhe,
Thodi ziddi ho par bewafa nahi…..



Rah na paoge kabhi bhulakar dekho,
Yakin na ho to aazmakar dekho,
Har jagha kami hogi mehsus hamari,
Apni mehfil ko kitna bhi saza kar dekho….



Har insaan ko gulaab ke us phool ki tarha hona chahiye,
Jo un hatho mai bhi khusbu deta hai,
Jo use masal kar fank deta hai,



Kuch fasle sirf aankho se hote hai,
Dil ke fasle do bato se hote hai,
Koi laakh bhulane ki koshish kare par,
kuch riste khatam sirf saanso se hote hai…..



Tum khamosh ham pareshan kyu hai,
Tum ziddi ham nadan kyu hai,
Aapki dosti hamari dhadkan hai,
Par aap ye jaankar bhi anjaan kyu hai….



Bhulna aapko aasan nahi hai,
Aur fir ham vaise insaan nahi hai,
Hamari yaado ka saboot hai aapki dhadkane,
Par sayad us taraf aapka dhyaan nahi hai….



Zikar unka hi raha mere fasaane mai,
Jinko jaan se jyada chaha hamne zamane mai,
Tanhai mai unki hi yaad ka sahara mila,
Nakamyab rahe jinhe ham bhoolane mai….



Narajgi ka sila to puch liya karo,
Duriya lakh ho yaad to kar liya karo,
Mat rakho besak har pal ki khabar,
Zinda hai ya mar gaye ye to jaan liya karo….



Kuch pal ke lamhe ab ke saal mai hai,
Hum unke or vo mere khayaal mai hai,
Tanha the pahle ham beparwah tha zindagi,
Ab fikar lagi rehti hai vo kis haal mai hai….



Mat puch mere sabar ki had kaha tak hai,
Tu sitam kar tera bas jaha tak hai,
Tujse reham ki umeed to gairo ko hogi,
Mujhe to dekhna hai tu berehama kaha taka hai…..



Bhid mai thi wo na ro saki hogi,
Magar yakin maNO raat mai na so saki hogi,
Wo saqs jise samjhne mai umar lagi,
Bichad ke mujhse kisi ki na ho saki hogi….



Chahe wafa mai thokar khate raho,
Fir bhi rasme waade nibhate raho,
Yahi to isqe ka dastoor hai,
Ki jakham khate raho or muskurate raho….



Bina jaane kabhi ikrar na kijiye,
Muskura kar dil ko bekrar na kijiye,
Kabhi kabhi gulaab bhi de jaate hai jakham gehre,
Har gulaab par aitbar na kijiye….



Itna bhi pyaar mat karo kisi se,
ki zindagi se darr lagne lage,
Maut to sabko aani hai ek na ek din,
Magar itna bhi na tadpo ki maut se mohbbat hone lage….



Apni zindagi ka alag usool hai.
Dosti ki khatir to kaante bhi kabool hai,
Has ke chal du kaanch ke tukdo par,
Agar dost kahe ye mere bichaye hue phool hai….

Kya banane aaye the kya bana bethe

















 Kya banane aaye the kya bana bethe,
Kahi mandir bana bethe Kahi maszid bana bethe,
Hamse to jaat achi hai parindo ki,
Kabhi mandir par ja bethe to kabhi maszid par ja bethe…..


Raat gehri hai darr bhi sakte hai,
Hum jo kehte hai kar bhi sakte hai,
Aap jo ruthe to itna bhi na sochna,
Hum to pagal hai mar bhi sakte hai….



Fasle itne to pahle na hua karte the,
Mai vo hu jise tum apna kaha karte the,
Tum agar bhool gaye mujhe to koi baat nahi,
Zakham to is dil ko pahle bhi mila karte the….



Jis din aap zameen par aaye the,
Us din vo aasma bhi khoob roya tha,
Aakhir uske aanshu thamte bhi kaise,
Usne mere liya apna sabse pyaara sitara jo khoya tha….



"True thought" Ped rota hai khoon ke aansu,
Log samjhte hai gulaab deta hai,
Agar ped faldar ho to,
Har koi pathro se jabab deta hai…..



Yaad karne se kisi ka didar nahi hota,
Yuhi kisi ko yaad karna pyaar nahi hota,
Yaado mai kisi ki hum bhi tadpte hai,
Bas use hamare dard ka ehsaas nahi hota….



Taqdir ko sath liya chalte hai ham,
Rona bhut hai fir bhi haste hai ham,
Zakhma dikane se kabhi nahi mitte,
Use dil mai rakh kar masti se jeete hai ham…..



Hum dekh nahi sakte unke aankh mai aashu
Isliye apni jeet ko bhi haar kehte hai,
Hum is qadar hai isqe mai pagal ki,
Unke zulmo ko bhi pyaar kehte hai…



Kuch likh nahi paate, kuch suna nahi paate,
Haale dil zubaan par laa nahi paate,
Aap utar gaye ho dil ki gehraio mai,
Aap samjh nahi paate, hum samjha nahi paate…



Jaam se na kar itni nafrat ki peeni pade to pee na sako,
Ae dost zindahi mai na kar kisi se itni mohbbat ke na mile wo to jee na sako….



Seediya unke liye bani hai,
Jinhe chatt par jana hai,
Aasma par ho jinki nazar,
Unhe to rasta khud banana hai….



Jo kal tha use bhula kar to dekho,
Jo aaj hai use to dekho,
aane wala pal khud hi guzar jayga,
Bas zindagi ko pyaar se jee kar to dekho….



Wafa ek pathar se pana chahta hu,
Mai khood ko aajmana chahta hu,
Kyu ek naya dard deti hai ye zindagi,
Jab bhi mai khool kar muskurana chahta hu....



Maa ki dua khali nahi jaati,
Uski baddua taali nahi jaati,
Bartan maanj ke bhi maa 3-4 bache paal leti hai,
Lekin 3-4 bacho se ek Maa nahi paali jati….



Naa jane kyu wo hamse muskura ke milti hai,
Ander ke saare gum chupa kar milti hai,
Janti hai aankhe sach bol jaati hai,
Sayad isliye wo nazre jhuka kar milti hai…..



Naa aankhe churate hai na dil churate hai,
Naa isqh karte hai na mohbbat karte hai,
Duniya mai sabse khubsurat rista hai dosti,
Usi ko nibhane ki koshish karte hai….



Tere share-e-wafa ke logo ne,
Pahle pyaar kiya fir chod diya,
Mujhe sagar samjh ke pite the,
Jab pyaas bhuji tab tod diya….



Nazakat karne wala kabhi rutha nahi karte,
Khud ko lutaane wale kisi ko loota nahi karte,
Toot jate hai nazdiki riste,
Par dil ke riste kabhi toota nahi karte….



Waqt ke dayre se ham nikal na jaaye,
Aapke dil se kabhi ham utar na jaaye,
Humj roj aapko yaad dilaya karenge,
Warna kahi aap hame bhool na jaaye…



Kabhi dekha na lakiro se mukadar hamne,
Paaw felaye sada dekh kar chadar hamne,
Hamne sach baat kahi or bure ban bethe,
Aur sach baat par khaye pathar bhi hamne….



Dard hai dil mai par iska ehsas nahi hota,
Rota hai dil jab vo pass nahi hota,
Barbad ho gaye ham unke pyaar mai,
Aur vo kehte hai ki is tarha pyaar nahi hota….



Kabhi sab kuch keh kar bhi baat adhuri reh jaati hai,
Kabhi kuch na kehkar bhi baat poori ho jaati hai,
Keh do har vo baat jo jaruri hai,
Quanki kabhi zindagi bhi bewaqt poori ho jaati hai….



Jaruri nahi ki saari duniya achi nikle,
Saari mohbbate sachi nikle,
E- khuda likh meri kismat dusri kalam se,
Jaruri nahi ki dusri kalam bhi kachi nikle….



Pyaar mai aajmaise hoti hai,
Dil mai milne ki khwaise hoti hai,
Aapko ham yaad nahi karenge har pal,
Yaad unhe karte hai jinhe bhool jane ki gunjaise hoti hai….



Hamari dosti kuch alag honi chahiye,
Hamari yaado ki aapko kadar honi chahiye,
Kabhi tarse na koi pyaar ke liye,
Dosti mai aisi mehak honi chahiye….



Tadap ke dekh kisi ke pyaar mai,
To pata chale ki intzar kya hota hai,
yuhi mil jaaye koi bina tadpe,
To kaise pata chalega pyaar kya hota hai….



Nazar se door hai dil se door na karna,
Hamme lakh buraiya sahi,
Inhi buraio ke bahane hame yaad jarur karna…



Har pal tera intzaar karta hu,
Naa juda hu rab se yahi fariyaad karta hu,
Mar kar bhi tera sath na chodunga,
Kya karu mai tumse bepanha pyaar karta hu….



Tanha rehna to sikh liya hamne,
Par khush na kabhi reh paynge,
Uski doori to she lete hai,
Par uski mohbbat ke bina na jee paynge…..



Bina dard ke aanshu bhaye nahi jaate,
Bina pyaar ke riste nibhaye nahi jaate,
Zindagi mai ek baat yaad rakhna,
Kisi ko rula kar apne sapne sajaye nahi jaate….



Hamesha unhi ke karib mat rahiye,
Jo aapko khush rakhte hai,
Kabhi unke bhi karib rahiye,
Jo aapke bina khush nahi reh sakte…..



Chup chup kar tanha ro lenge,
Ab dil ka dard kisi se na bolenege,
Neend to aati nahi raato mai,
Jab rukegi dil ki dhadkan to jee bhar ke so lenge….



Is dosti ki har khata ko maaf kar dena,
Har gile har sikhve kodil se saaf kar dena,
Akele na sehna koi bhi takleef,
Dukh ho ya sukh sab half half kar lena….

Maa Ki Dua Lekar Jaana

Andhere hai raaste diya lekar jaana,
Apne aanshuyo ki ziya lekar jana,
Tumhe har musqil se bacha legi hamesha,
Bas ghar se Maa ki Dua lekar jaana….


Sanskar sanskriti aur shaan mile,
Aise hindu muslim or hindustan mile,
Rahe ham mil-jul kar aise,
Ki mandir mai Allaha or masjid mai Ram mile…..


badi haseen thi zindagi jab na kisi se mohabbat na kisi se nafrat thi,
Zindagi mai ek mod aisa mohabbat ek se hui or nafrat saari duniya se ho gai…..


Hum jab bhi aapki duniya se jaynge,
Itna apnapan de jaynge ki,
Jab bhi yaad karoge is pagal dost ko,
hasti aankho se aanshu nikal aayenge….



Meri qabar par vo rone aaye,
Hamse pyaar hai ye kehne aaye,
jab zindagi thi to rulaya bhut,
Ab ham chain se so gaye hai to fir se jagane aaye…



True Line in Life:-
Jab ham ek hi majak ko lekar baar baar has nahi sakte,
To ham ek hi gum ko lekar baar baar kyu rote hai….


Kabhi sham kabhi aanchal ka kinara dena,
Mai kabhi doob ke ubaru to shara dena,
teri ulfat mai mukamal hu har pahlu se,
Mujhe dard bhi dena to saara dena….



gum ki halat mai muskurana badi baat hai,
thokar kha kar dil lagana badi baat hai,
Inkar kiya tha har baar jisne,
Har baar usi ko chahna badi baat hai….



Doob jati hai kastiya jab aate hai toofan,
yaade reh jaati hai bichad jaate hai insaan,
Yaad rakhoge to bhut karib paaoage,
bhool jaoge to dhunte reh jaoge…..



Kaun kehta hai ki khuda nazar nahi aata,
Sirf vhi to nazara aata hai jab kuch samjh nahi aata….



Aapki dosti hamare sooro ka saaz hai,
Aap kaise dost par hame naaz hai,
Chahe kuch bhi ho jaaye zindagi mai,
Dosti kal bhi vaise rahegi jaise aaj hai….



vaada hai tumhe nahi sataynge,
Dil na kabhi aapka dukhaynge,
Jab tak hai sath"Jhel lo bhai".
jab mar jaynge to sach mai yaad bhi nahi aaynge….




bheed mai thi vo na ro saki hogi,
Lekin yakin hai raat bhar na so chuki hogi,
Vo saqs jise samjhne mai mujhe umar lagi,
Bichad ke mujhse kisi ki na ho saki hogi….



Fariyaad karne par rab ne sab kuch diya,
Par hamne na isko mehsus kiya,
Sukar guzar hai hum rab ke,
Jo bina mange tere jaisa dost diya…..



Mai seesha hu keh diya tha jamaane se,
Wo baaz na aaye fir bhi aazmaane se,
Mai khush tha uski khusi mai,
Aur uski khusi thi mere toot jaane mai…..



Kaise kahu ki apna bana lo mujhe,
Bahon mai apni samma lo mujhe,
Aaj himmat karke kehta hu,
Ki mai tumhara hu ab tumhi sambhalo mujhe…..




Aap aate ho aankho mai chand sitare lekar,
Jaane kaha gaye khaaw hamare lekar,
Kitne hi door chale jaao hamse lekin,
Waqt aayga aapko pass hamare lekar….

Thokar khakar gungunana hi zindagi hai

Zindagi jab bhi rulaane lage aap itna muskurao ki dard bhi sharmaane lage,
Nikle na aansu aankho se aapke kabhi,
Aur kismat bhi majboor hokar aapko hasane lage….



Kisi apno ko khona vo kya jaane,
Bina nind ke sona vo kya jaane,
Us shakhs ne to mujhe mehfil mai mujhe muskurate dekha hai,
Meri tanhaai ka rona vo kya jaane….



Bas sapne hai yaade hai or kuch nahi,
Aap ho aapki baate hai or kuch nahi,
nahi chahte hum aapko bhulna,
Magar doori ek majburi hai or kuch nahi…..



kaisi hai ye duniya ham samjh nahi paaye,
Bikhre hua sapna ham jod nahi paaye,
Sayad ham hi honge itne bure,
Jo kisi ke dil mai ham utar nahi paaye….



Kabhi kabhi mohabbat mai waade toot jaate hai,
isqe ke kache dhaage toot jate hai,
jhuth bolta hoga chaand bhi,
isliye to ruthkar taare toot jate hai….



Kitna adhura lagta hai tab,
Jab badal ho or barish na ho,
Jab zindagi ho or pyaar na ho,
Jab aankhe ho or khaaw na ho,
Aur jab koi apna ho or sath na ho….



Thokar khakar gungunana hi zindagi hai,
Gum pee kar muskurana hi zindagi hai,
Ek ladki agar dhoka de to sab kuch bhulakar,
Dusri ko patana hi zindagi hai…



Ek shaks ki chaht ka armaan raha,
Jo sab kuch jaan kar bhi anjaan raha,
Aata hai vo neendo mai rehta hai khawo mai,
Ek yahi to uska mujhpar ehsaan raha….



Yaado ke sahare duniya nahi chalti,
Bina mile kabhi mehfil nahi banti,
Ek baar dil se pukaaro to dost,
Dosto ki chahat ke bina ye dhadkan nahi chalti….



Kon janda kise de darda nu,
Eh dunia dhokebaz sari,
Sab lut k tur jande,
Aajkal kon nibhave yaari,
Is ishk da shonk hunda dil todna,
Aaj meri kal kisi hor di vaari….



Aap kudrat ki bani tasveer ho,
Mere dil se judi ek zanjir ho,
Hum to us haanth ko hi kaant denge,
Jis hath mai tumse judaai ki lakeer ho….



Dil ne jo chaha aaj tak na paya,
Jhuti muskaan mai hamne hamesha gum ko chupaya,
Vaise to har insan takdeer ko aajmata hai,
Aur ek ham hai jise har baar takdeer ne aajmaya…..



Tanha ho kabhi to mujhe dhoond lena,
Is duniya se nahi apne dil se puch lena,
Aapke aas pas hi rehte hai ham,
Yaado se nahi to sath guzre lamho se puch lena….



Mangu bas tujhe wo ibbadat de de,
Tere khazane se thodi se mohbbat de de,
Sath de mujhe umar bhar ka,
Ya tere darwaze par marne ki izazat de de….



Mujhe chand taaro se kya lena,
In bharo se kya lena,
Bas aapka pyaar basa rahe is dil mai,
Mujhe zannat ke nazare se kya lena….



Pyaar ka safar karne chala hu,
Dil ki duniya basane chala hu,
Maine khaaw ab tak nahi dekhe the,
Par tujhe dekhkar khaabo mai jeene laga hu….



Hazaro phool lagte hai Ek dulhan sajane mai,
hazaro deep lagte hai ek aarti sajane ke liye,
Magar ek dost kaafi hai zindagi ko zannat banane ke liye…



Hasi aai hame rone se pahle,
Use paya tha kab khone se pahle,
Naa jane raat ab kaise kategi meri,
Wo fir yaad aaye sone se pahle….



Wo kitne meharbaan the ki hazaro gum de gaye hame,
Aur ham kitne khudgarz nikle ke use kuch na de sake,
Sivaaye pyaar ke….



Dosti ki kasam kabhi bhulna nahi,
Apna gum hamse kabhi chupana nhi,
Rula lena sala lena ji bhar ke hame,
Par dosti ka ye rista mitana nhi…..



Aapke liye ham ajnabi ho gaye,
hamse baat karna bhool gaye,
Gum mai tabja ho gaye,
Kya pata ye waqt bura hai hai ya bure ham ho gaye….



teri khatir sitare tod kar lana bhi muskil hai,
jara se baat par aankhe bhigo kar beth jaati ho,
Tumhe to apne dil ka haal batana bhi muskil hai….

Love and Friendship Sms {Ghar se Maa ki dua lekar jana}















Bas ek yahi dua hai meri apne khuda se,
Aage rakhe wo har pal mujhe apni raza se,
Mite ti mit jaye meri hasti meri,
Par dil na kabhi dhuke aapka meri wajha se….



Log to marne ke baad jannat jaate hai,
Ham to bachpan se hi vhi rehta hai,
Mujhe koi or jannat ka nahi pata,
Qunki ham Maa ke kadmo ko hi jannat kehte hai….



Haqiqat ki raho mai sapne toot jaate hai,
Mosam badle to phool bhi murjha jaate hai,
kabhi hame bhi yaad karo ye dost,
Phir hame na kehna apne kyu bhool jate hai…..



Samunder ki khamoshi uski gehraai batati hai,
Dosto ki kami apni tanhaai batati hai,
Waise to dost hamesha pyaare hote hai,
Pat unki keemat unki judaai batati hai….



Musibat se fursat nahi milne wali,
Zindagi mai rahat nahi milne wali,
Agar dil mai saflata ka josh nahi,
To ummido se bhi kamyaabi nahi milne wali…..



Andhere hai raaste diya lekar jaana,
Apne aansuyo ka ziya lekar jaana,
Tumhe har musqil se bacha legi hamesha,
Bas ghar se Maa ki dua lekar jana…..



Jab kabhi khud ko tanha paate hai,
Aapke sath bitaye vo pal yaad aate hai,
Jee rahe hai bas isi khusi ke intzaar mai,
Suna hai kabhi kabhi kuch pal laut ke aate hai….



Usko mere waado par aitbaar tha,
Dil mai uske bhi bhut pyaar tha,
Chod diya usne beech safar mai mera saath,
Sayad kinaare par usko kisi or ka intzaar tha….



Aarzu- e-safar jab hamne iraada kiya tha,
Sath chalne ka usne bhi wada kiya tha,
Kuch usko raas na aai wafaiyn meri,
Aur kuch aitbar hamne bhi jyada kiya tha….



Har koi kisi ki majboori nahi samjhta,
Dil se dil ki doori nahi samjhta,
Koi to kisi ke bina mar- mar ke jeeta hai,
Aur koi kisi ko yaad karna bhi jaroori nahi samjhta…..



Jo dhal jaaye vo shaam hoti hai,
Jo khatam ho jaaye vo zindagi hoti hai,
Jo mil jaaye vo maut hoti hai,
Aur jo naa mile vo Mohbbat hoti hai….



In andhero ke liye kuch aftaab mange hai,
Dua mai hamne kuch log khas mange hai,
Jab bhi manga kuch rab se,
To aapke liye khusiyo ke pal behisab mange hai….



Chahne se koi cheez apni nahi hoti,
Har muskurahat khusi nahi hoti,
Armaan to bhut hoti hai dil mai,
magar kabhi waqt to kabhi kismat sahi nahi hoti….



Raat ho gai par nind kaha,
so jaau par wo pyaar sath kaha,
Kuch sunu par wo pyaari awaaz kaha,
Hansu bhi to kaise koi pass kaha….



Unki kismat ka bhi kaisa sitara hoga,
Jinko meri tarha takdeer ne mara hoga,
Kinare par bethe log ye kya jaane,
Dubne wale ne kis kis ko pukara hoga…..



Kanto se damaan uljhana meri aadat hai,
Dil mai paraya dard basana meri aadat hai,
Jin ko dunia ne thukraya,
Aise logo ko apnana meri aadat hai….



Zindagi to sabhi ke liye vhi rangeen kitab hai,
Farq bas itna hai ki,
Kisi ne har panne ko dil se padha,
Aur Kisi ne bas panne palte….



Naa koi meri manzil hai na koi kinara,
Tanhai meri mehfil waada mera sahara,
Tumse bichadkar kuch yu waqt guzra,
Kabhi zindagi ko tarse to kabhi maut ko pukara….



Takdir ke aaine mai meri tasvir kho gai,
aaj hamesha ke liye meri rooh so gai,
Mohbbat karke kya paya maine,
Wo kal meri thi aaj kisi or ki ho gai….



Chahat ke parde mai nafrat hai mumkin,
To nafrat ke parde mai chahat bhi hogi,
Agar koi khafa hota hai tumhe apna samjh kar,
To usko yakinan tumse mohabbat bhi hogi….


Dooriyo ka gum gum nahi hota,
Bagair hichkiyu se yaado mai dum nahi hota,
Apne apno se kitna bhi door kyu na ho,
Sach to ye hai ki apno ke liye pyaar kabhi kam nahi hota….



Ek silsile ki umeed thi mujhe jinse,
Wahi fasle banate chale gaye,
Hum to pass aane ki koshish mai the,
Jaane wo kyu dooriya bhadate chale gaye…



Ban ke jo dhadkan dil ke karib aate hai,
Ek lamhe jinki yaad mai bitate hai,
Aansu nikalte hai jab vo yaad aate hai,
Aur dil dhukta hai jab vo bhool jate hai….



Itne hasin khaaw na dhikao mujhe,
Khawo ko ek din toot jana hai,
Mana akhiri sans tak to mai sath hu,
Lekin saanso ko bhi to ek din rooth jana hai…..



Waqt aata hai chla jata hai,
Iska intzar or aitbaar kabhi na karna,
Jo juda hokar bhi baar baar yaad aaye,
Itna pyaar bhi kisi se na karna……



Jaane kyu akele rehne ko majboor ho gaye,
Yaado ke saaye bhi hamse door ho gaye,
Ho gaye tanha is kadar is mehfil mai,
Ki hamare apne bhi hamse door ho gaye…..


Wada to kar lete hai nibhana bhool jate hai,
Lagakar aag seene mai fir bhujana bhool jate hai,
Bhoolna to aadat hai unki,
Pahle rulaate hai or fir mannana bhool jaate hai….



Nice Quoto:- Man to god:- Jab nasib mai pahle hi sab likh diya gaya hai to Dua kyu kare,
God:- Kyunki ho sakta hai nasib mai likha ho ki mangne par hi milega…..



Dard na ho jisme vo geet kya hai,
Rooth na jaaye kabhi wo meet kya hai,
Iss jahana ki yeh reet hai,
Par jo adhuri na rahe vo preet kya hai…..



Na ham rahe dil lagane ke qabil,
Na dil raha gum uthaane ke qabil,
Lage uski yaado ke jo zakham dil par,
Na choda usne hame muskuraane ke qabil….



real fact:- Waqt jaisa bhi acha ya bura badalta jarur hai,
Isliye ache waqt mai kuch aisa galat mat karna,
Ki bure waqt mai log aapka sath chod de….


Door hone ka koi gum na kar,
Yaad kar par aankhe nam na kar,
Tumhari khusi mai hai meri khusi,
Isliye apni pyaari muskaan kam na kar….



Tu chaand hai sarmaya na kar,
Phool se chehre ko murjhaya na kar,
Jab tak ham zinda hai tera pyaar ban kar,
Tab tak tu kisi bhi baat se ghabraya na kar….



Yaad aaye to aankhe band mat karna,
Naa bhi mile to gum mat karna,
Ye jaruri to nahi ki ham hamesha sath rahe,
Par door rehkar bhi pyaar kam mat karna….



Apne chehre se jo zahir hai chupaaye kaise,
Teri marzi ke mutabik nazar aaye kaise,
Kah kah kar ankaha bartaav badal deta hai,
Ae hasne wale tujhe aanshu nazar aaye kaise….



Zindagi bhar aapka sath na chod paaynge,
Aap samjhte hai ham aapko bhool jaynge,
Har koi nahi hota ham jaisa,
Ye kisi din aap khud jaan jaynge….



Soch ke use muskurate hai ham,
Dil ko khani uski sunate hai ham,
Jab bhi yaad karte hai use,
Saari duniya ko bhool jate hai ham…..



Tanhai ka mosam hai, Mai hu or thoda gum hai,
Bas ye sochkar muskara diya karte hai,
Usne kaha tha haste rehna,
Aapko meri kasam hai…..



Ye dil kinaare ko kinara na samjh,
Ye dil sahare ko sahara na samjh,
Barish aane par kinaare toot jaate hai,
Musibat aane par sahare toot jaate hai….



Naa tang karo ham sataye hue hai,
Mohabbat ka gum dil par uthaye hue hai,
Khilona samjhkar hamse naa khelo,
Hum bhi usi khuda ke banaye hue hai…..



Pyaar insaan se karo iski aadat se nahi,
Rutho unki baato se unse nahi,
Bhulo unki galtiyu ko unko nahi,
Quanki dosto se badhkar is duniya mai kuch bhi nahi…..



Unki chhat ne mujhe rulaaye bhut,
Unki yaado ne mujhe tadpaya bhut,
Ham unse bhut pyaar karte hai,
Par hamari is majboori ko usne aajmaya bhut…..



Usne fir milne ka waada kiya tha,
Ek sath jeene marne ka waada kiya tha,
Wo door ho gai to koi majboori hi hogi,
Varna pyaar to yaaro usne bhi had se jyada kiya tha…..



Mere pyaar ko bewai ka inaam de gai,
Mere dil ko yaado ka paigam de gai,
Maine kaha mere dil mai dard hai,
To kambhakhat jaate jaate jhandu baam de gai…..


Is aas mai chala jaaunga jahan se,
Ke mera marna hi kuch kaam aa jaye,
Sayad chali aaye tu us pal mere pass,
Jis pal meri muat ka paigaam tumhare pass aaye….



Na de khusi ham gum she lenge,
Tu jis haal mai rakh ham reh lenge,
Naa tujhse karenge koi sikwa gila,
Aaina dekh kar ham khudko hi sab keh lenge…..



Jeeyo uske liye jo jeene ka sahara ho,
cahaho use jo jaan se pyara ho,
Raah mai to milnege bahut, Lekin sath uska do,
Jisne bheed mai bas aapko pukara ho…..



Aise insaan ko yaad mat karo jisne aapka dil toda ho,
Lekin aise insaan ko yaad rakho,
Jisne aapko toote hue dil ke sath jina sikahaya ho…..



Oss ki bunde hai ya aankho mai nami hai,
Na upar aasman hai na niche zamin hai,
Ye kaisa mod hai jindagi ka,
Uski hi jarurt hai or uski hi kami hai….


Is duniya ki bheed mai dost hazar milnege,
Ham to kya hamse ache hazar milenge,
Acchi lagi ho dosti hamaro to yaad kar lena,
Ham konsa aapko har janam mai Bar bar milenge….



Kisi ke pass waqt nahi kisike jawab ka,
Zindgai lage jaise ko sawal ho hisab ka,
Distrub kiya ho to maaf karna,
Maksad tha puchna ki kya haal hai janab ka….